Pehla nasha
Pehla khumaar
Naya pyaar hai naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar
Tu hi bata
Pehla nasha
Pehla khumaar
Udta hi firoon in hawaon mein kahin
Ya main jhool jaoon in ghataon mein kahin
Udta hi firoon in hawaon mein kahin
Ya main jhool jaoon in ghataon mein kahin
Ek kar doon aasmaan zameen
Kaho yaaron kya karoon kya nahin
Pehla nasha
Pehla khumaar
Naya pyaar hai naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar
Tu hi bata
Pehla nasha
Pehla khumaar
♥ jn!-!i ♥
No comments:
Post a Comment